bach ke aane ke hain hazar tariq
bach ke aane ke haiñ hazār tarīq
chhup ke jaane ke haiñ hazār tarīq
dil ke aane ke haiñ hazār tarīq
jaan jaane ke haiñ hazār tarīq
tarz-e-jaur-o-sitam nahīñ na sahī
dil dukhāne ke haiñ hazār tarīq
qatl hī par nahīñ hai kuchh mauqūf
ḳhuuñ bahāne ke haiñ hazār tarīq
gardish-e-baḳht-o-gardish-e-gardūñ
sar phirāne ke haiñ hazār tarīq
laġhzish-e-pā agar salāmat hai
choT khāne ke haiñ hazār tarīq
ho tabī.at jo mā.il-e-ehsāñ
kaam aane ke haiñ hazār tarīq
ḳhāmushī ho savāl ho kuchh ho
āzmāne ke haiñ hazār tarīq
dene vaalā ġhanī hai ai 'mas.ūd'
tere paane ke haiñ hazār tarīq
bach ke aane ke hain hazar tariq
chhup ke jaane ke hain hazar tariq
dil ke aane ke hain hazar tariq
jaan jaane ke hain hazar tariq
tarz-e-jaur-o-sitam nahin na sahi
dil dukhane ke hain hazar tariq
qatl hi par nahin hai kuchh mauquf
KHun bahane ke hain hazar tariq
gardish-e-baKHt-o-gardish-e-gardun
sar phirane ke hain hazar tariq
laghzish-e-pa agar salamat hai
choT khane ke hain hazar tariq
ho tabiat jo mail-e-ehsan
kaam aane ke hain hazar tariq
KHamushi ho sawal ho kuchh ho
aazmane ke hain hazar tariq
dene wala ghani hai ai 'masud'
tere pane ke hain hazar tariq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.