bach nikalna kya iKHtiyar mein hai
bach nikalnā kyā iḳhtiyār meñ hai
zindagī maut ke hisār meñ hai
aarzū aur mere dil kī bisāt
ek sho.ala sā reg-zār meñ hai
kitne sūraj nigal ga.ī zulmat
aas kā diip kis shumār meñ hai
jo ḳhizāñ meñ bhī mil nahīñ saktī
vo udāsī bharī bahār meñ hai
nafrateñ ko bhī jis se nafrat ho
aisī nafrat tumhāre pyaar meñ hai
be-qarārī meñ thā qarār magar
aaj to bekalī qarār meñ hai
hausloñ kī nigāh se dekho
kāmrānī kā raaz haar meñ hai
vo bhī tum ne diyā nahīñ ham ko
jo tumhāre hī iḳhtiyār meñ hai
nā-murādī kī had hai ye 'arshad'
jiit bhī apnī aaj haar meñ hai
bach nikalna kya iKHtiyar mein hai
zindagi maut ke hisar mein hai
aarzu aur mere dil ki bisat
ek shoala sa reg-zar mein hai
kitne suraj nigal gai zulmat
aas ka dip kis shumar mein hai
jo KHizan mein bhi mil nahin sakti
wo udasi bhari bahaar mein hai
nafraten ko bhi jis se nafrat ho
aisi nafrat tumhaare pyar mein hai
be-qarari mein tha qarar magar
aaj to bekali qarar mein hai
hauslon ki nigah se dekho
kaamrani ka raaz haar mein hai
wo bhi tum ne diya nahin hum ko
jo tumhaare hi iKHtiyar mein hai
na-muradi ki had hai ye 'arshad'
jit bhi apni aaj haar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.