bacha gar naz se to usko phir andaz se mara
bacha gar naz se to usko phir andaz se mara
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
bachā gar naaz se to us ko phir andāz se maarā
koī andāz se maarā to koī naaz se maarā
kisī ko garmi-e-taqrīr se apnī lagā rakkhā
kisī ko muñh chhupā kar narmī-e-āvāz se maarā
hamārā murġh-e-dil chhoḌā na āḳhir us shikārī ne
gahe shāhīn pheñke us pe gaahe baaz se maarā
ġhazal paḌhte hī merī ye muġhannī kī huī hālat
ki us ne saaz maarā sar se aur sar saaz se maarā
nikālī rasm-e-teġh-o-tasht dilī meñ jazāk-allāh
ki maarā to hameñ tū ne par ik e.azāz se maarā
na uḌtā murġh-e-dil to changul-e-shāhīñ meñ kyuuñ phañstā
gayā ye ḳhasta apnī ḳhūbī-e-parvāz se maarā
jahāñ tak sāz-dārī hai likhī dushman ke taal.e meñ
hameñ badnām kar ke tāl.e-e-nā-sāz se maarā
hazāroñ rañg us ke ḳhuun ne yāroñ ko dikhlā.e
jab us ne 'mus.hafī' ko apnī teġh-e-nāz se maarā
bacha gar naz se to us ko phir andaz se mara
koi andaz se mara to koi naz se mara
kisi ko garmi-e-taqrir se apni laga rakkha
kisi ko munh chhupa kar narmi-e-awaz se mara
hamara murgh-e-dil chhoDa na aaKHir us shikari ne
gahe shahin phenke us pe gahe baz se mara
ghazal paDhte hi meri ye mughanni ki hui haalat
ki us ne saz mara sar se aur sar saz se mara
nikali rasm-e-tegh-o-tasht dili mein jazak-allah
ki mara to hamein tu ne par ek eazaz se mara
na uDta murgh-e-dil to changul-e-shahin mein kyun phansta
gaya ye KHasta apni KHubi-e-parwaz se mara
jahan tak saz-dari hai likhi dushman ke tale mein
hamein badnam kar ke tale-e-na-saz se mara
hazaron rang us ke KHun ne yaron ko dikhlae
jab us ne 'mushafi' ko apni tegh-e-naz se mara
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 72)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.