bachcha bana hua hai baghawat ke baad bhi
bachcha banā huā hai baġhāvat ke ba.ad bhī
nādim nahīñ hai koī sharārat ke ba.ad bhī
taanā barastī aag meñ kāġhaz kā sā.ebāñ
jal bujh ga.e haiñ log hifāzat ke ba.ad bhī
manzil pe jā ke paañv ke chhāle ubal paḌe
ham ko sukūñ milā na masāfat ke ba.ad bhī
sūraj kī raushnī bhī na dil meñ utar sakī
ThanDak rahī badan meñ tamāzat ke ba.ad bhī
hote hī shaam yūrish-e-ḳhalvat ne aa liyā
masrūf ho gayā maiñ farāġhat ke ba.ad bhī
jo kuchh kahā gayā use maane nahīñ haiñ ham
bāġhī rahā hai zehn hirāsat ke ba.ad bhī
ab phir usī ke naam pe bekal huā hai 'jān'
dil meñ vahī taḌap hai adāvat ke ba.ad bhī
bachcha bana hua hai baghawat ke baad bhi
nadim nahin hai koi shararat ke baad bhi
tana barasti aag mein kaghaz ka saeban
jal bujh gae hain log hifazat ke baad bhi
manzil pe ja ke panw ke chhaale ubal paDe
hum ko sukun mila na masafat ke baad bhi
suraj ki raushni bhi na dil mein utar saki
ThanDak rahi badan mein tamazat ke baad bhi
hote hi sham yurish-e-KHalwat ne aa liya
masruf ho gaya main faraghat ke baad bhi
jo kuchh kaha gaya use mane nahin hain hum
baghi raha hai zehn hirasat ke baad bhi
ab phir usi ke nam pe bekal hua hai 'jaan'
dil mein wahi taDap hai adawat ke baad bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.