bachche ki zid ko ab to mera etibar de
bachche kī zid ko ab to mirā e'tibār de
ai āsmāñ ye chāñd mire ghar utaar de
chorī karūñ to haath mire kaaT de magar
pahle ḳhudā-e-vaqt mujhe rozgār de
Thukrā na duuñ maiñ ġhair ke hāthoñ milī shikast
mujh ko bhī merī nasl hī mujrim qarār de
yārab junūn-e-ishq se mahrūm rakh mujhe
yā merī vahshatoñ ko na.e reg-zār de
bachche ki zid ko ab to mera e'tibar de
ai aasman ye chand mere ghar utar de
chori karun to hath mere kaT de magar
pahle KHuda-e-waqt mujhe rozgar de
Thukra na dun main ghair ke hathon mili shikast
mujh ko bhi meri nasl hi mujrim qarar de
yarab junun-e-ishq se mahrum rakh mujhe
ya meri wahshaton ko nae reg-zar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.