bache hue the jo patte yahan KHizaon se
bache hue the jo patte yahāñ ḳhizāoñ se
bikhar ga.e haiñ vahī narm-rau havāoñ se
tapī muñDer pe baiThā huā parinda hai
Darā huā hai vo shāyad shajar kī chhāñv se
rutoñ ne dekh liyā hai chalan zamīnoñ kā
baras rahī hai tamāzat yahāñ ghaTāoñ se
fazā-e-shab se koī āftāb guzrā hai
sukūt guuñj rahā hai abhī sadāoñ se
ajiib ruup meñ dekhā use zamāne ne
vo saada laḌkī kabhī aa.ī thī jo gaañv se
dayār-e-ġhair meñ yādeñ qadam qadam par thiiñ
judā huī na safar meñ zamīn paañv se
vo kaisā ḳhvāb thā kal shab 'aqīl' āñkhoñ meñ
vajūd guuñj rahā hai mirā nidāoñ se
bache hue the jo patte yahan KHizaon se
bikhar gae hain wahi narm-rau hawaon se
tapi munDer pe baiTha hua parinda hai
Dara hua hai wo shayad shajar ki chhanw se
ruton ne dekh liya hai chalan zaminon ka
baras rahi hai tamazat yahan ghaTaon se
faza-e-shab se koi aaftab guzra hai
sukut gunj raha hai abhi sadaon se
ajib rup mein dekha use zamane ne
wo sada laDki kabhi aai thi jo ganw se
dayar-e-ghair mein yaaden qadam qadam par thin
juda hui na safar mein zamin panw se
wo kaisa KHwab tha kal shab 'aqil' aankhon mein
wajud gunj raha hai mera nidaon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.