bachi hai raushni jo bhi charaghon se nikal jae
bachī hai raushnī jo bhī charāġhoñ se nikal jaa.e
jo mere dil se niklā hai duāoñ se nikal jaa.e
ham aise log jo dushman ke rone par Thahar jaa.eñ
vo aisā shaḳhs jo apnoñ kī lāshoñ se nikal jaa.e
paḌhāne kā agar matlab hai hāthoñ se nikal jaanā
ḳhudāyā phir mirī beTī bhī hāthoñ se nikal jaa.e
vahī ik shaḳhs thā merā yahāñ par jī lagāne ko
usī ko chāhte the sab ki gaañv se nikal jaa.e
idhar to chhū rahī hai jism merā ThanDe hāthoñ se
udhar vo chāhtī hai raat bātoñ se nikal jaa.e
numā.ish baap kī daulat kī kar ke sochtā thā maiñ
ki shāyad imtihān-e-ishq paisoñ se nikal jaa.e
bachi hai raushni jo bhi charaghon se nikal jae
jo mere dil se nikla hai duaon se nikal jae
hum aise log jo dushman ke rone par Thahar jaen
wo aisa shaKHs jo apnon ki lashon se nikal jae
paDhane ka agar matlab hai hathon se nikal jaana
KHudaya phir meri beTi bhi hathon se nikal jae
wahi ek shaKHs tha mera yahan par ji lagane ko
usi ko chahte the sab ki ganw se nikal jae
idhar to chhu rahi hai jism mera ThanDe hathon se
udhar wo chahti hai raat baaton se nikal jae
numaish bap ki daulat ki kar ke sochta tha main
ki shayad imtihan-e-ishq paison se nikal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.