Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachpan ke zaKHm ko kahin marham nahin mila

Jaani Lakhnavi

bachpan ke zaKHm ko kahin marham nahin mila

Jaani Lakhnavi

MORE BYJaani Lakhnavi

    bachpan ke zaḳhm ko kahīñ marham nahīñ milā

    us par mirī javānī ko ġham kam nahīñ milā

    sahrā meñ har kisī se nahīñ hote mo'jize

    vo vādiyāñ bhī haiñ jinheñ zamzam nahīñ milā

    nusrat shauq thā ki ye baazū kaTā diye

    lekin hamāre haath ko parcham nahīñ milā

    mahrūmiyoñ merī bhalā kyā hisāb ho

    mujh ko to marne vaale mātam nahīñ milā

    tanhā.iyoñ maarī huī maiñ idhar udhar

    tasvīr huuñ jise koī album nahīñ milā

    har baar saf se aage nikal aa.e ham magar

    ham ko kisī bhī jang meñ parcham nahīñ milā

    duniyā bhiiḌ meñ hue rusvā jahāñ ga.e

    'jānī' nahīñ milā koī hamdam nahīñ milā

    bachpan ke zaKHm ko kahin marham nahin mila

    us par meri jawani ko gham kam nahin mila

    sahra mein har kisi se nahin hote mo'jize

    wo wadiyan bhi hain jinhen zamzam nahin mila

    nusrat ka shauq tha ki ye bazu kaTa diye

    lekin hamare hath ko parcham nahin mila

    mahrumiyon ka meri bhala kya hisab ho

    mujh ko to marne wale ka matam nahin mila

    tanhaiyon ki mari hui main idhar udhar

    taswir hun jise koi album nahin mila

    har bar saf se aage nikal aae hum magar

    hum ko kisi bhi jang mein parcham nahin mila

    duniya ki bhiD mein hue ruswa jahan gae

    'jaani' nahin mila koi hamdam nahin mila

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now