bachpan tamam buDhe sawalon mein kaT gaya
bachpan tamām būḌhe savāloñ meñ kaT gayā
schōl kī kitāboñ se ab jī uchaT gayā
likkhe hue the saare farishtoñ ke jis pe naam
shāyad vahī varaq kisī bachche se phaT gayā
taaza havā kī aas meñ parde uThā diye
bas ye huā ki gard meñ sāmān aT gayā
kal carnas pe dekh ke chiḌiyoñ kā khelnā
be-vaj.h zehn us ke ḳhayāloñ meñ baT gayā
ik bachcha us khulī huī khiḌkī meñ jhāñk kar
sharmā ke ghar jo bhāgā to maañ se lipaT gayā
kyā kahtā aur chāragaroñ se vo be-zabān
zaḳhmī parinda apne paroñ meñ simaT gayā
sahrā duhā.ī detā rahā apnī pyaas kī
bādal baras ke ḳhushk chaTānoñ pe chhaT gayā
bachpan tamam buDhe sawalon mein kaT gaya
school ki kitabon se ab ji uchaT gaya
likkhe hue the sare farishton ke jis pe nam
shayad wahi waraq kisi bachche se phaT gaya
taza hawa ki aas mein parde uTha diye
bas ye hua ki gard mein saman aT gaya
kal carnas pe dekh ke chiDiyon ka khelna
be-wajh zehn us ke KHayalon mein baT gaya
ek bachcha us khuli hui khiDki mein jhank kar
sharma ke ghar jo bhaga to man se lipaT gaya
kya kahta aur chaaragaron se wo be-zaban
zaKHmi parinda apne paron mein simaT gaya
sahra duhai deta raha apni pyas ki
baadal baras ke KHushk chaTanon pe chhaT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.