bachpan tamam guzra hai taron ki chhanw mein
bachpan tamām guzrā hai tāroñ kī chhāñv meñ
titlī ke pīchhe jaatī thī bādal ke gaañv meñ
garmī kī tez dhuup meñ pīpal kī chhāñv meñ
sonī baḌā sukūn thā chhoTe se gaañv meñ
manzil kī aarzū bhalā karte bhī kis tarah
kāñTe chubhe hue the hamāre to paañv meñ
jab dhuup ke safar se vo aa.egā lauT kar
us ko biThā ke rakhūñgī zulfoñ kī chhāñv meñ
ai dost rāh-e-ishq meñ chaltī maiñ kis tarah
zanjīr Daal rakhī thī duniyā ne paañv meñ
bachpan tamam guzra hai taron ki chhanw mein
titli ke pichhe jati thi baadal ke ganw mein
garmi ki tez dhup mein pipal ki chhanw mein
soni baDa sukun tha chhoTe se ganw mein
manzil ki aarzu bhala karte bhi kis tarah
kanTe chubhe hue the hamare to panw mein
jab dhup ke safar se wo aaega lauT kar
us ko biTha ke rakhungi zulfon ki chhanw mein
ai dost rah-e-ishq mein chalti main kis tarah
zanjir Dal rakhi thi duniya ne panw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.