bad-baKHt bad-nasib bure log hain yahan
bad-baḳht bad-nasīb bure log haiñ yahāñ
sach baat hai adiib bure log haiñ yahāñ
vo mujh se kosoñ duur hai maiñ us se duur huuñ
yā'nī mire qarīb bure log haiñ yahāñ
aatī nahīñ samajh mujhe un kī kisī tarah
ab kyā kahūñ 'ajīb bure log haiñ yahāñ
karte nahīñ haiñ zaḳhm kā marham ba-zo’m-e-ḳhud
sāhib sabhī tabīb bure log haiñ yahāñ
maiñ bhī unhīñ meñ ek huuñ 'asġhar' jahān meñ
kahtā hai vo ġharīb bure log haiñ yahāñ
bad-baKHt bad-nasib bure log hain yahan
sach baat hai adib bure log hain yahan
wo mujh se koson dur hai main us se dur hun
ya'ni mere qarib bure log hain yahan
aati nahin samajh mujhe un ki kisi tarah
ab kya kahun 'ajib bure log hain yahan
karte nahin hain zaKHm ka marham ba-zo’m-e-KHud
sahib sabhi tabib bure log hain yahan
main bhi unhin mein ek hun 'asghar' jahan mein
kahta hai wo gharib bure log hain yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.