bad-baKHti mein sab be-mol
bad-baḳhtī meñ sab be-mol
hiire chun yā motī rol
ḳhvāboñ kī ta.abīreñ DhūñD
sūraj niklā āñkheñ khol
sahrā sahrā phuul khilā
dariyā dariyā zahr na ghol
talḳh-navā.ī Thiik nahīñ
bol hamesha mīThe bol
kaun yahāñ tujh sā ḳhuddār
tū darvesh-e-be-kashkol
jo karnā hai jaldī kar
kartā kyoñ hai Tāl-maTol
chup chup shādī shādī kyā
shahnā.ī tāshe na Dhol
tū ustādoñ kā ustād
tere sher meñ kyoñ hai jhol
āñkheñ nargis hoñT kañval
baat tumhārī hai anmol
ġhībat karnā Thiik nahīñ
himmat hai to muñh par bol
parda-dārī nekī hai
bhaa.ī 'anjum' bhed na khol
bad-baKHti mein sab be-mol
hire chun ya moti rol
KHwabon ki tabiren DhunD
suraj nikla aankhen khol
sahra sahra phul khila
dariya dariya zahr na ghol
talKH-nawai Thik nahin
bol hamesha miThe bol
kaun yahan tujh sa KHuddar
tu darwesh-e-be-kashkol
jo karna hai jaldi kar
karta kyon hai Tal-maTol
chup chup shadi shadi kya
shahnai tashe na Dhol
tu ustadon ka ustad
tere sher mein kyon hai jhol
aankhen nargis honT kanwal
baat tumhaari hai anmol
ghibat karna Thik nahin
himmat hai to munh par bol
parda-dari neki hai
bhai 'anjum' bhed na khol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.