bad-dili mein be-qarari ko qarar aaya to kya
bad-dilī meñ be-qarārī ko qarār aayā to kyā
pā-piyāda ho ke koī shahsavār aayā to kyā
zindagī kī dhuup meñ murjhā gayā merā shabāb
ab bahār aa.ī to kyā abr-e-bahār aayā to kyā
mere tevar bujh ga.e merī nigāheñ jal ga.ī
ab koī ā.īna-rū ā.īna-dār aayā to kyā
ab ki jab jānāna tum ko hai sabhī par e'tibār
ab tumheñ jānāna pe jab e'tibār aayā to kyā
ab mujhe ḳhud apnī bāhoñ par nahīñ hai iḳhtiyār
haath phailā.e koī be-iḳhtiyār aayā to kyā
vo to ab bhī ḳhvāb hai bedār bīnā.ī kā ḳhvāb
zindagī meñ ḳhvāb meñ us ke guzār aayā to kyā
ham yahāñ haiñ be-gunāh so ham meñ se 'jaun-elia'
koī jiit aayā yahāñ aur koī haar aayā to kyā
bad-dili mein be-qarari ko qarar aaya to kya
pa-piyaada ho ke koi shahsawar aaya to kya
zindagi ki dhup mein murjha gaya mera shabab
ab bahaar aai to kya abr-e-bahaar aaya to kya
mere tewar bujh gae meri nigahen jal gai
ab koi aaina-ru aaina-dar aaya to kya
ab ki jab jaanana tum ko hai sabhi par e'tibar
ab tumhein jaanana pe jab e'tibar aaya to kya
ab mujhe KHud apni bahon par nahin hai iKHtiyar
hath phailae koi be-iKHtiyar aaya to kya
wo to ab bhi KHwab hai bedar binai ka KHwab
zindagi mein KHwab mein us ke guzar aaya to kya
hum yahan hain be-gunah so hum mein se 'jaun-elia'
koi jit aaya yahan aur koi haar aaya to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.