bad-dua teri mere haq mein dua ho jaana
bad-du'ā terī mire haq meñ du'ā ho jaanā
hai karāmat tujhe ehsās-e-vafā ho jaanā
hai yaqīnan mirī fariyād-o-fuġhāñ kī tāsīr
‘andalīboñ kā yahāñ sho’la-navā ho jaanā
rakhe jis haal meñ tū shukr-e-ḳhudā kar bande
hai munāsib tujhe rāzī-ba-razā ho jaanā
mere nazdīk nahīñ baḌh ke 'ibādat is se
farz insāñ pe jo lāzim hai adā ho jaanā
husn-e-aḳhlāq se insān kā honā 'aarī
jaise ik phuul se ḳhushbū kā judā ho jaanā
shiddat-e-ġham se huā ham pe ye vāzeh 'jagdīsh'
dard kā had se guzarnā hai davā ho jaanā
bad-du'a teri mere haq mein du'a ho jaana
hai karamat tujhe ehsas-e-wafa ho jaana
hai yaqinan meri fariyaad-o-fughan ki tasir
‘andalibon ka yahan sho’la-nawa ho jaana
rakhe jis haal mein tu shukr-e-KHuda kar bande
hai munasib tujhe raazi-ba-raza ho jaana
mere nazdik nahin baDh ke 'ibaadat is se
farz insan pe jo lazim hai ada ho jaana
husn-e-aKHlaq se insan ka hona 'ari
jaise ek phul se KHushbu ka juda ho jaana
shiddat-e-gham se hua hum pe ye wazeh 'jagdish'
dard ka had se guzarna hai dawa ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.