bad-guman mujhse na ai fasl-e-bahaaran hona
bad-gumāñ mujh se na ai fasl-e-bahārāñ honā
merī aadat hai ḳhizāñ meñ bhī gul-afshāñ honā
mere ġham ko bhī dil-āvez banā detā hai
terī āñkhoñ se mire ġham kā numāyāñ honā
kyuuñ na pyaar aa.e use apnī pareshānī par
siikh le jo tirī zulfoñ se pareshāñ honā
mere vijdān ne mahsūs kiyā hai aksar
terī ḳhāmosh nigāhoñ kā ġhazal-ḳhvāñ honā
ye to mumkin hai kisī roz ḳhudā ban jaa.e
ġhair mumkin hai magar shaiḳh kā insāñ honā
apnī vahshat kī numā.ish mujhe manzūr na thī
varna dushvār na thā chāk-girebāñ honā
rahrav-e-shauq ko gumrāh bhī kar detā hai
baaz auqāt kisī raah kā āsāñ honā
kyuuñ gurezāñ ho mirī jaan pareshānī se
dūsrā naam hai jiine kā pareshāñ honā
jin ko hamdard samajhte ho hañseñge tum par
hāl-e-dil kah ke na ai 'shād' pashīmāñ honā
bad-guman mujh se na ai fasl-e-bahaaran hona
meri aadat hai KHizan mein bhi gul-afshan hona
mere gham ko bhi dil-awez bana deta hai
teri aankhon se mere gham ka numayan hona
kyun na pyar aae use apni pareshani par
sikh le jo teri zulfon se pareshan hona
mere wijdan ne mahsus kiya hai aksar
teri KHamosh nigahon ka ghazal-KHwan hona
ye to mumkin hai kisi roz KHuda ban jae
ghair mumkin hai magar shaiKH ka insan hona
apni wahshat ki numaish mujhe manzur na thi
warna dushwar na tha chaak-gireban hona
rahraw-e-shauq ko gumrah bhi kar deta hai
baz auqat kisi rah ka aasan hona
kyun gurezan ho meri jaan pareshani se
dusra nam hai jine ka pareshan hona
jin ko hamdard samajhte ho hansenge tum par
haal-e-dil kah ke na ai 'shad' pashiman hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.