bad-gumani ka ye aalam har jagah palne laga hai
bad-gumani ka ye aalam har jagah palne laga hai
Ritu Singh Rajput Rit
MORE BYRitu Singh Rajput Rit
bad-gumānī kā ye aalam har jagah palne lagā hai
bhiiḌ kā tanhā safar ab ruuh ko khalne lagā hai
ab falak key raushnī aatī nahīñ hai ghar meñ mere
nuur merī ziist kā ab din-ba-din Dhalne lagā hai
yaar hai ḳhanjar bhī hai to faisla bhī ho hī jaa.e
vaqt aayā hai agar to vaqt kyoñ Talne lagā hai
shab meñ apne parindo key huā hai peḌ būḌhā
āñdhiyoñ se jo laḌā dīmak se vo galne lagā hai
be-sabab yuuñ raat ko sab chāñd se bāteñ na karte
dard har ik shaḳhs meñ ab fasl sā phalne lagā hai
āsmāñ ke manch par ye chāñd sūraj key kahānī
ek ugne jo lagā to dūsrā Dhalne lagā hai
bad-gumani ka ye aalam har jagah palne laga hai
bhiD ka tanha safar ab ruh ko khalne laga hai
ab falak key raushni aati nahin hai ghar mein mere
nur meri zist ka ab din-ba-din Dhalne laga hai
yar hai KHanjar bhi hai to faisla bhi ho hi jae
waqt aaya hai agar to waqt kyon Talne laga hai
shab mein apne parindo key hua hai peD buDha
aandhiyon se jo laDa dimak se wo galne laga hai
be-sabab yun raat ko sab chand se baaten na karte
dard har ek shaKHs mein ab fasl sa phalne laga hai
aasman ke manch par ye chand suraj key kahani
ek ugne jo laga to dusra Dhalne laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.