bad-gumani ki sada kai jami rahti hai
bad-gumānī kī sadā kaa.ī jamī rahtī hai
is qadar chashm-e-gurezāñ meñ namī rahtī hai
tum to is ghar se ga.e raunaqeñ ghar kī le kar
ab to vīrānī sī is ghar meñ paḌī rahtī hai
mujh ko lā.eñgī kināre pe ye lahreñ ik din
jin se kashtī mirī har-vaqt ghirī rahtī hai
hai ye e.ajāz-e-karam terī masīhā.ī kā
shāḳh gulhā-e-aqīdat kī harī rahtī hai
kis tarah dekhūñ tujhe madd-e-muqābil mere
hairatoñ kī koī dīvār khaḌī rahtī hai
kaun rahtā hai yahāñ koī nahīñ rahtā hai
ab to is dil meñ faqat terī kamī rahtī hai
khol detā huuñ sabhī yaad ke tasme lekin
ek ummīd sadā dil se bañdhī rahtī hai
kaise mumkin hai kisī aur kī ḳhushbū aa.e
terī ḳhushbū mirī sāñsoñ meñ basī rahtī hai
apne qadmoñ meñ simaT jaate haiñ saa.e 'ash.har'
dhuup mahrūmī kī jab sar pe kaḌī rahtī hai
bad-gumani ki sada kai jami rahti hai
is qadar chashm-e-gurezan mein nami rahti hai
tum to is ghar se gae raunaqen ghar ki le kar
ab to virani si is ghar mein paDi rahti hai
mujh ko laengi kinare pe ye lahren ek din
jin se kashti meri har-waqt ghiri rahti hai
hai ye eajaz-e-karam teri masihai ka
shaKH gulha-e-aqidat ki hari rahti hai
kis tarah dekhun tujhe madd-e-muqabil mere
hairaton ki koi diwar khaDi rahti hai
kaun rahta hai yahan koi nahin rahta hai
ab to is dil mein faqat teri kami rahti hai
khol deta hun sabhi yaad ke tasme lekin
ek ummid sada dil se bandhi rahti hai
kaise mumkin hai kisi aur ki KHushbu aae
teri KHushbu meri sanson mein basi rahti hai
apne qadmon mein simaT jate hain sae 'ashhar'
dhup mahrumi ki jab sar pe kaDi rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.