bad-gumani wo udhar yar liye baiThe hain
bad-gumānī vo udhar yaar liye baiThe haiñ
ham idhar hasrat-e-dīdār liye baiThe haiñ
ek sā rahtā nahīñ vaqt kabhī insāñ kā
dil meñ ġham aap to bekār liye baiThe haiñ
bāñdh kar sar se kafan aa ga.e ghar se ham bhī
jab sunā ham ne vo talvār liye baiThe haiñ
ġham mirī samt bhalā aa.e to aa.e kaise
ab mire ġham to mire yaar liye baiThe haiñ
un se iz.hār mohabbat kā karūñ kaise 'jamāl'
apne hoñToñ pe vo inkār liye baiThe haiñ
bad-gumani wo udhar yar liye baiThe hain
hum idhar hasrat-e-didar liye baiThe hain
ek sa rahta nahin waqt kabhi insan ka
dil mein gham aap to bekar liye baiThe hain
bandh kar sar se kafan aa gae ghar se hum bhi
jab suna hum ne wo talwar liye baiThe hain
gham meri samt bhala aae to aae kaise
ab mere gham to mere yar liye baiThe hain
un se izhaar mohabbat ka karun kaise 'jamal'
apne honTon pe wo inkar liye baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.