bad-mast nigahon ke mastane hazaron hain
bad-mast nigāhoñ ke mastāne hazāroñ haiñ
hāthoñ meñ liye dil ke nazrāne hazāroñ haiñ
us āriz-e-tābāñ ke dīvāne hazāroñ haiñ
ek sham.a farozāñ hai parvāne hazāroñ haiñ
kūche se guzar un ke ik roz huā hogā
us roz se vābasta afsāne hazāroñ haiñ
jaane hue gar apne anjāne haiñ ġham kaisā
jab shahr-e-gulistāñ meñ anjāne hazāroñ haiñ
ye zikr-e-mai-e-at.har kyā pyaas bujhā.egā
piinī hai agar vaa.iz maiḳhāne hazāroñ haiñ
us but ke taġhāful kā kyā ḳhaak asar lete
aazar kā zamāna hai but-ḳhāne hazāroñ haiñ
ham ok se pī leñge paimāna haTā lenā
'āzād' yahāñ jhūTe paimāne hazāroñ haiñ
bad-mast nigahon ke mastane hazaron hain
hathon mein liye dil ke nazrane hazaron hain
us aariz-e-taban ke diwane hazaron hain
ek shama farozan hai parwane hazaron hain
kuche se guzar un ke ek roz hua hoga
us roz se wabasta afsane hazaron hain
jaane hue gar apne anjaane hain gham kaisa
jab shahr-e-gulistan mein anjaane hazaron hain
ye zikr-e-mai-e-athar kya pyas bujhaega
pini hai agar waiz maiKHane hazaron hain
us but ke taghaful ka kya KHak asar lete
aazar ka zamana hai but-KHane hazaron hain
hum ok se pi lenge paimana haTa lena
'azad' yahan jhuTe paimane hazaron hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.