bad-tar hai maut se mera jina tere baghair
bad-tar hai maut se mirā jiinā tire baġhair
duniyā nahīñ hai ab mirī duniyā tire baġhair
kuchh bhī rahā na ziist kā qissa tire baġhair
ḳhāmosh yaañ zabān haiñ goyā tire baġhair
be-raunaqī jumūd ta.attul sukūt-e-marg
aisā hai kā.enāt kā naqsha tire baġhair
yaksūī-e-ḳhayāl kī ab lazzateñ kahāñ
dar dar bhaTak rahī hai tamanna tire baġhair
barbādiyoñ se rabt ajal se hai sāz-bāz
sar-garmiyāñ junūñ kī haiñ kyā kyā tire baġhair
be-kār hai har ek parastish jo tū nahīñ
barbād haiñ kunisht-o-kalīsā tire baġhair
thī dil se hī kashākash-e-nāz-o-niyāz sab
hogā na husn-o-ishq kā charchā tire baġhair
hañsnā tirī nazar ke tabassum ke saath thā
ab zaḳhm zaḳhm hai mirā ronā tire baġhair
lāchār ho ke baiTh ga.iiñ chāra-sāziyāñ
hogā tirā marīz na achchhā tire baġhair
yak-bārgī zamāne kī raftār ruk ga.ī
bhūlā hai vaqt aah guzarnā tire baġhair
naame se tere kyā ho parāyoñ ko vāsta
apnā huā na jab koī apnā tire baġhair
bad-tar hai maut se mera jina tere baghair
duniya nahin hai ab meri duniya tere baghair
kuchh bhi raha na zist ka qissa tere baghair
KHamosh yan zaban hain goya tere baghair
be-raunaqi jumud tattul sukut-e-marg
aisa hai kaenat ka naqsha tere baghair
yaksui-e-KHayal ki ab lazzaten kahan
dar dar bhaTak rahi hai tamanna tere baghair
barbaadiyon se rabt ajal se hai saz-baz
sar-garmiyan junun ki hain kya kya tere baghair
be-kar hai har ek parastish jo tu nahin
barbaad hain kunisht-o-kalisa tere baghair
thi dil se hi kashakash-e-naz-o-niyaz sab
hoga na husn-o-ishq ka charcha tere baghair
hansna teri nazar ke tabassum ke sath tha
ab zaKHm zaKHm hai mera rona tere baghair
lachaar ho ke baiTh gain chaara-saziyan
hoga tera mariz na achchha tere baghair
yak-bargi zamane ki raftar ruk gai
bhula hai waqt aah guzarna tere baghair
name se tere kya ho parayon ko wasta
apna hua na jab koi apna tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.