bad-zan hain ahl-e-kaba mujh dair-ashna se
bad-zan haiñ ahl-e-ka.aba mujh dair-āshnā se
kahte haiñ mujh ko kāfir fariyād hai ḳhudā se
bedād mohtasib kī fariyād hai ḳhudā se
barse sharāb ghar ghar mai-ḳhvār kī duā se
chitvan badal rahī hai naam aa gayā vafā kā
tevar bigaḌ rahe haiñ afsāna-e-vafā se
ham kyuuñ tumheñ batā.eñ ham kyuuñ tumheñ jatā.eñ
roz-e-jazā na jaane māñgeñge kyā ḳhudā se
vo pūchhte haiñ mujh se kaise ho tum 'mubārak'
maiñ kah rahā huuñ achchhā sarkār kī duā se
bad-zan hain ahl-e-kaba mujh dair-ashna se
kahte hain mujh ko kafir fariyaad hai KHuda se
bedad mohtasib ki fariyaad hai KHuda se
barse sharab ghar ghar mai-KHwar ki dua se
chitwan badal rahi hai nam aa gaya wafa ka
tewar bigaD rahe hain afsana-e-wafa se
hum kyun tumhein bataen hum kyun tumhein jataen
roz-e-jaza na jaane mangenge kya KHuda se
wo puchhte hain mujh se kaise ho tum 'mubarak'
main kah raha hun achchha sarkar ki dua se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.