baDa ajib tha us ka widaa hona bhi
baḌā ajiib thā us kā vidā.a honā bhī
na ho sakā mirā us se lipaT ke ronā bhī
fasīleñ chhūne lagī haiñ ab āsmānoñ ko
ajab hai ek darīche kā band honā bhī
na koī ḳhvāb hai āñkhoñ meñ ab na bedārī
tire sabab thā mirā jāgnā bhī sonā bhī
tire faqīr ko itnī sī jā bhī kaafī hai
jo tere dil meñ nikal aa.e ek konā bhī
ye kam nahīñ jo mayassar hai zindagī se mujhe
kabhī-kabhār kā hañsnā udaas honā bhī
tirā guzārnā hamvār rāstoñ se hameñ
hamāre paañv meñ kāñTe kabhī chubhonā bhī
chalā gayā koī āñkhoñ meñ gard uḌātā huā
na kaam aayā koī ToTkā na Tonā bhī
'talab' baḌī hī aziyyat kā kaam hotā hai
bikharte TūTte rishtoñ kā bojh Dhonā bhī
baDa ajib tha us ka widaa hona bhi
na ho saka mera us se lipaT ke rona bhi
fasilen chhune lagi hain ab aasmanon ko
ajab hai ek dariche ka band hona bhi
na koi KHwab hai aankhon mein ab na bedari
tere sabab tha mera jagna bhi sona bhi
tere faqir ko itni si ja bhi kafi hai
jo tere dil mein nikal aae ek kona bhi
ye kam nahin jo mayassar hai zindagi se mujhe
kabhi-kabhaar ka hansna udas hona bhi
tera guzarna hamwar raston se hamein
hamare panw mein kanTe kabhi chubhona bhi
chala gaya koi aankhon mein gard uData hua
na kaam aaya koi ToTka na Tona bhi
'talab' baDi hi aziyyat ka kaam hota hai
bikharte TuTte rishton ka bojh Dhona bhi
- Book : Jahaan Gard (Pg. 28)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.