baDa ajnabi sa sawal hai koi ajnabi sa jawab de
baDa ajnabi sa sawal hai koi ajnabi sa jawab de
Farrukh Zohra Gilani
MORE BYFarrukh Zohra Gilani
baḌā ajnabī sā savāl hai koī ajnabī sā javāb de
tire baa'd shahr-e-gumān meñ hai ġhubār kaisā javāb de
mirī tīra-baḳhtī kī sej par tirī aarzū kā malāl hai
mujhe chāhatoñ kī amaan de mujhe raushnī kā javāb de
tire vasl kī jo naved ho mire roz-o-shab kī bhī 'ahd ho
mire dushman-e-rag-e-jān ko gul-e-tar meñ mahkā javāb de
mire ham safīro 'azāb kī ye ghaḌī hai garche bahut kaḌī
magar apne apne bachāv meñ har ik aap apnā javāb de
mire dil meñ terī vafāoñ ke haiñ sabhī charāġh bujhe hue
terī aañkh se mirī niiñd kā koī ḳhvāb TuuTā javāb de
baDa ajnabi sa sawal hai koi ajnabi sa jawab de
tere ba'd shahr-e-guman mein hai ghubar kaisa jawab de
meri tira-baKHti ki sej par teri aarzu ka malal hai
mujhe chahaton ki aman de mujhe raushni ka jawab de
tere wasl ki jo nawed ho mere roz-o-shab ki bhi 'ahd ho
mere dushman-e-rag-e-jaan ko gul-e-tar mein mahka jawab de
mere hum safiro 'azab ki ye ghaDi hai garche bahut kaDi
magar apne apne bachaw mein har ek aap apna jawab de
mere dil mein teri wafaon ke hain sabhi charagh bujhe hue
teri aankh se meri nind ka koi KHwab TuTa jawab de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.