baDa be-dard hota ja raha hai
baḌā be-dard hotā jā rahā hai
mirā dil sard hotā jā rahā hai
añdhere ne kahī kyā baat aisī
saverā zard hotā jā rahā hai
koī manzil bhī hai is raah meñ kyā
musāfir gard hotā jā rahā hai
baḌhe haiñ jab se ālāt-e-payāmī
akelā fard hotā jā rahā hai
khapāyā zan ko fikr-e-do-jihat meñ
siyānā mard hotā jā rahā hai
simaT aa.ī hai muTThī meñ ḳhudā.ī
payambar fard hotā jā rahā hai
baDa be-dard hota ja raha hai
mera dil sard hota ja raha hai
andhere ne kahi kya baat aisi
sawera zard hota ja raha hai
koi manzil bhi hai is rah mein kya
musafir gard hota ja raha hai
baDhe hain jab se aalat-e-payami
akela fard hota ja raha hai
khapaya zan ko fikr-e-do-jihat mein
siyana mard hota ja raha hai
simaT aai hai muTThi mein KHudai
payambar fard hota ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.