baDa hi talKH lahja hai zaban par
baḌā hī talḳh lahja hai zabāñ par
liye ho bojh kaisā jism-o-jāñ par
nishāñ dīvār-e-dil kā kah rahā hai
koī tasvīr thī pahle yahāñ par
jahāñ vo dikh rahe hote haiñ phir to
koī dikhtā nahīñ ham ko vahāñ par
mirī qīmat mujhe bhī jānnī thī
so maiñ ne rakh diyā ḳhud ko dukāñ par
jahāñ kā har musāfir rāhbar ho
taras aatā hai aise kārvāñ par
mirā dār-o-madār-e-zindagī bhī
Tikā hai bas tumhārī ek haañ par
na jaane kaun sā ghar ho tumhārā
so dastak de rahā huuñ har makāñ par
use hairān karnā thā so maiñ ne
zamīñ le jā ke rakh dī āsmāñ par
baDa hi talKH lahja hai zaban par
liye ho bojh kaisa jism-o-jaan par
nishan diwar-e-dil ka kah raha hai
koi taswir thi pahle yahan par
jahan wo dikh rahe hote hain phir to
koi dikhta nahin hum ko wahan par
meri qimat mujhe bhi jaanni thi
so main ne rakh diya KHud ko dukan par
jahan ka har musafir rahbar ho
taras aata hai aise karwan par
mera dar-o-madar-e-zindagi bhi
Tika hai bas tumhaari ek han par
na jaane kaun sa ghar ho tumhaara
so dastak de raha hun har makan par
use hairan karna tha so main ne
zamin le ja ke rakh di aasman par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.