baDa hushyar hone lag gaya tha
baḌā hushyār hone lag gayā thā
mirā ġham-ḳhvār hone lag gayā thā
mirī in soī āñkhoñ meñ achānak
koī bedār hone lag gayā thā
gumāñ ke bāzuoñ ko kaaT Daalā
alam-bardār hone lag gayā thā
mirī hasrat na niklī Dūbne kī
bhañvar patvār hone lag gayā thā
baḌī mushkil se chhoḌī haq-bayānī
zalīl-o-ḳhvār hone lag gayā thā
adhūrī chhoḌ dī āḳhir kahānī
maiñ ḳhud kirdār hone lag gayā thā
maiñ TuuTā bhī nahīñ thā aur 'niyāzī'
jahāñ me.amār hone lag gayā thā
baDa hushyar hone lag gaya tha
mera gham-KHwar hone lag gaya tha
meri in soi aankhon mein achanak
koi bedar hone lag gaya tha
guman ke bazuon ko kaT Dala
alam-bardar hone lag gaya tha
meri hasrat na nikli Dubne ki
bhanwar patwar hone lag gaya tha
baDi mushkil se chhoDi haq-bayani
zalil-o-KHwar hone lag gaya tha
adhuri chhoD di aaKHir kahani
main KHud kirdar hone lag gaya tha
main TuTa bhi nahin tha aur 'niyazi'
jahan meamar hone lag gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.