baDa KHubsurat suhana khilauna
baḌā ḳhūbsūrat suhānā khilaunā
ḳhushī kā ġhamoñ kā ḳhazāna khilaunā
huā aag paanī zamīñ āsmāñ ko
milānā milā kar banānā khilaunā
na jaane kahāñ se milā hai mujhe ye
dhaḌaktā huā ik purānā khilaunā
kabhī rūThne kā sabab ho gayā hai
kabhī rābtoñ kā bahāna khilaunā
umīdeñ irāde mohabbat vafā.eñ
kahānī tamāshā fasāna khilaunā
zarā ġhaur se dekhnā tum ise to
lagegā tumheñ bhī zamāna khilaunā
use Dar yahī hai kahīñ vo na kah de
ki abbā mujhe bhī dilānā khilaunā
baDa KHubsurat suhana khilauna
KHushi ka ghamon ka KHazana khilauna
hua aag pani zamin aasman ko
milana mila kar banana khilauna
na jaane kahan se mila hai mujhe ye
dhaDakta hua ek purana khilauna
kabhi ruThne ka sabab ho gaya hai
kabhi rabton ka bahana khilauna
umiden irade mohabbat wafaen
kahani tamasha fasana khilauna
zara ghaur se dekhna tum ise to
lagega tumhein bhi zamana khilauna
use Dar yahi hai kahin wo na kah de
ki abba mujhe bhi dilana khilauna
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.