Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badal badal ke wahi suraten dikhae kahin

Shareef Munawwar

badal badal ke wahi suraten dikhae kahin

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    badal badal ke vahī sūrateñ dikhā.e kahīñ

    ye ahd-e-nau bhī purāne dukh na laa.e kahīñ

    phir us ke husn rangat na ho bahāroñ meñ

    phir us zulf ḳhushbū havā na laa.e kahīñ

    nigāh ruk ga.ī kis par ki phir haTī nahīñ

    qadam ukhaḌ ga.e aise ki jam na paa.e kahīñ

    bahut hai rind-e-ḳharābāt āj-kal hushyār

    ki mai piye ye kahīñ aur laḌkhaḌā.e kahīñ

    ye aarzū bhī ki chillā.ūñ puurī quvvat se

    ye ḳhauf bhī ki sadā koī sun na paa.e kahīñ

    ajiib khel 'munavvar' ye ham ne dekhā hai

    kahīñ hai dhuup faqat aur sirf saa.e kahīñ

    badal badal ke wahi suraten dikhae kahin

    ye ahd-e-nau bhi purane hi dukh na lae kahin

    phir us ke husn ki rangat na ho bahaaron mein

    phir us ki zulf ki KHushbu hawa na lae kahin

    nigah ruk gai kis par ki phir haTi hi nahin

    qadam ukhaD gae aise ki jam na pae kahin

    bahut hai rind-e-KHarabaat aaj-kal hushyar

    ki mai piye ye kahin aur laDkhaDae kahin

    ye aarzu bhi ki chillaun puri quwwat se

    ye KHauf bhi ki sada koi sun na pae kahin

    ajib khel 'munawwar' ye hum ne dekha hai

    kahin hai dhup faqat aur sirf sae kahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now