badal diye hain mukammal nisab ab ke se
badal diye haiñ mukammal nisāb ab ke se
paḌhī hai dard kī aisī kitāb ab ke se
kahā hai bād-e-sabā ne ki be-qarār haiñ vo
chalo ki koī to aayā javāb ab ke se
ghuTan ye siine kī ghaTtī nazar nahīñ aatī
juḌe haiñ kaise na jaane hisāb ab ke se
ye kaun pūchhegā ham se kahāñ kise fursat
jo dariyā-dil the hue kyuuñ sarāb ab ke se
bichhaḌ ke tujh se kahāñ niiñd aa.ī ab ke bhī
mile haiñ jāgtī āñkhoñ ke ḳhvāb ab ke se
kisī kī yaad kā muflar zarā nikāl hī lo
ki hone vaalā hai mausam ḳharāb ab ke se
ajiib baat hai dil sun nahīñ rahā merī
kisī kā ho gayā ḳhāna-ḳharāb ab ke se
jo baat hogī barābar kī hogī ab 'aslam'
ki dil bhī ho gayā merā navāb ab ke se
badal diye hain mukammal nisab ab ke se
paDhi hai dard ki aisi kitab ab ke se
kaha hai baad-e-saba ne ki be-qarar hain wo
chalo ki koi to aaya jawab ab ke se
ghuTan ye sine ki ghaTti nazar nahin aati
juDe hain kaise na jaane hisab ab ke se
ye kaun puchhega hum se kahan kise fursat
jo dariya-dil the hue kyun sarab ab ke se
bichhaD ke tujh se kahan nind aai ab ke bhi
mile hain jagti aankhon ke KHwab ab ke se
kisi ki yaad ka muflar zara nikal hi lo
ki hone wala hai mausam KHarab ab ke se
ajib baat hai dil sun nahin raha meri
kisi ka ho gaya KHana-KHarab ab ke se
jo baat hogi barabar ki hogi ab 'aslam'
ki dil bhi ho gaya mera nawab ab ke se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.