badal gai hain agarche zaruraten apni
badal ga.ī haiñ agarche zarūrateñ apnī
hamāre saath haiñ ab tak rivāyateñ apnī
hameñ hayāt kā har lamha tab bhī dozaḳh thā
hamāre paañv tale jab thiiñ jannateñ apnī
vo phuul ab khile jin kī talāsh meñ ham log
gañvā chuke haiñ kabhī ke basārateñ apnī
rahe haiñ apnī hī pahchān meñ yuuñ sargardāñ
ki yaad aatī nahīñ ham ko sūrateñ apnī
bike haiñ kauḌiyoñ ke bhaav to gila kis se
hamīñ ko ḳhud na thiiñ mā'lūm qīmateñ apnī
ḳhamoshiyoñ kī sadā.eñ bulā rahī thiiñ hameñ
na saath de sakīñ lekin samā'ateñ apnī
sabhī ko dā'vā hai 'āzād' jānte haiñ hamīñ
khulīñ na ham pe hī lekin haqīqateñ apnī
badal gai hain agarche zaruraten apni
hamare sath hain ab tak riwayaten apni
hamein hayat ka har lamha tab bhi dozaKH tha
hamare panw tale jab thin jannaten apni
wo phul ab khile jin ki talash mein hum log
ganwa chuke hain kabhi ke basaraten apni
rahe hain apni hi pahchan mein yun sargardan
ki yaad aati nahin hum ko suraten apni
bike hain kauDiyon ke bhaw to gila kis se
hamin ko KHud na thin ma'lum qimaten apni
KHamoshiyon ki sadaen bula rahi thin hamein
na sath de sakin lekin sama'aten apni
sabhi ko da'wa hai 'azad' jaante hain hamin
khulin na hum pe hi lekin haqiqaten apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.