badal gai tere dil ki faza KHuda-hafiz
badal ga.ī tire dil kī fazā ḳhudā-hāfiz
kareñge kyā yahāñ ahl-e-vafā ḳhudā-hāfiz
tire sivā bhī ka.ī log mujh se bichhḌe haiñ
sunā hai maiñ ne ka.ī martaba ḳhudā-hāfiz
kisī ne chupke se rasta badal liyā apnā
kisī ne shor machā kar kahā ḳhudā-hāfiz
use likhā hai kabhī mujh se rābta na kare
aur iḳhtitām meñ maiñ ne likhā ḳhudā-hāfiz
ye kaise vaqt pe 'sharjīl' tum ne chhoḌ diyā
ye kaise vaqt pe tum ne kahā ḳhudā-hāfiz
badal gai tere dil ki faza KHuda-hafiz
karenge kya yahan ahl-e-wafa KHuda-hafiz
tere siwa bhi kai log mujh se bichhDe hain
suna hai main ne kai martaba KHuda-hafiz
kisi ne chupke se rasta badal liya apna
kisi ne shor macha kar kaha KHuda-hafiz
use likha hai kabhi mujh se rabta na kare
aur iKHtitam mein main ne likha KHuda-hafiz
ye kaise waqt pe 'sharjil' tum ne chhoD diya
ye kaise waqt pe tum ne kaha KHuda-hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.