badal ke ruKH koi manzar rafu kiya jae
badal ke ruḳh koī manzar rafū kiyā jaa.e
chalo ki zaḳhm se ḳhanjar rafū kiyā jaa.e
utaar pheñko badan kī hasīn miTTī se
vo pairahan jise aksar rafū kiyā jaa.e
sipāhiyoñ kī nigāheñ ulajhtī rahtī haiñ
libās-e-sāhib-e-lashkar rafū kiyā jaa.e
masīh-e-'ishq tirī ye bhī zimmedārī hai
shahīd-e-hijr kā bistar rafū kiyā jaa.e
badal ke ruKH koi manzar rafu kiya jae
chalo ki zaKHm se KHanjar rafu kiya jae
utar phenko badan ki hasin miTTi se
wo pairahan jise aksar rafu kiya jae
sipahiyon ki nigahen ulajhti rahti hain
libas-e-sahib-e-lashkar rafu kiya jae
masih-e-'ishq teri ye bhi zimmedari hai
shahid-e-hijr ka bistar rafu kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.