badalne wali hai faza ai dil kuchh aur der ruk
badalne vaalī hai fazā ai dil kuchh aur der ruk
hai shab kā āḳhirī pahar añdhere hoñge zer ruk
jahān-e-dil pe raushnī bikherne ke vāste
vo māhtāb aa.egā abhī nazar na pher ruk
abhī abhī huā hai ishq abhī se kyoñ hai muztarib
lagegā terī zindagī meñ bhī ġhamoñ kā Dher ruk
bahut dinoñ ke ba.ad aa.e haiñ vo ḳhvāb meñ unheñ
maiñ aañkh bhar ke dekh luuñ ai ḳhvāb thoḌī der ruk
nabāt-o-naḳhl par girāñ guzartā hai ye mashġhala
daraḳht ke tane pe yuuñ hurūf mat uker ruk
nahīñ hai kaam buz-diloñ kā ishq ke mahāz par
yahāñ sabhī diler haiñ jo tū bhī hai diler ruk
milegī dād-e-fan kujā jaleñge tujh se ham-suḳhan
har ek bazm meñ hunar ke jalve mat bikher ruk
dil-e-ġharīb ko ai 'shād' ḳhvāhishoñ ke jaal meñ
qasam hai tujh ko yuuñ na be-muravvatī se gher ruk
badalne wali hai faza ai dil kuchh aur der ruk
hai shab ka aaKHiri pahar andhere honge zer ruk
jahan-e-dil pe raushni bikherne ke waste
wo mahtab aaega abhi nazar na pher ruk
abhi abhi hua hai ishq abhi se kyon hai muztarib
lagega teri zindagi mein bhi ghamon ka Dher ruk
bahut dinon ke baad aae hain wo KHwab mein unhen
main aankh bhar ke dekh lun ai KHwab thoDi der ruk
nabaat-o-naKHl par giran guzarta hai ye mashghala
daraKHt ke tane pe yun huruf mat uker ruk
nahin hai kaam buz-dilon ka ishq ke mahaz par
yahan sabhi diler hain jo tu bhi hai diler ruk
milegi dad-e-fan kuja jalenge tujh se ham-suKHan
har ek bazm mein hunar ke jalwe mat bikher ruk
dil-e-gharib ko ai 'shad' KHwahishon ke jal mein
qasam hai tujh ko yun na be-murawwati se gher ruk
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.