badalte mausamon mein aab-o-dana bhi nahin hoga
badalte mausamon mein aab-o-dana bhi nahin hoga
Abdul Mannan Samadi
MORE BYAbdul Mannan Samadi
badalte mausamoñ meñ āb-o-dāna bhī nahīñ hogā
ki peḌoñ par parindoñ kā Thikāna bhī nahīñ hogā
bahā le jā.eñgī maujeñ kitāb-e-zindagānī ko
sunāne ke liye koī fasāna bhī nahīñ hogā
navāh-e-jāñ meñ ik din tum utar kar dekh bhī lenā
tumhāre paas yādoñ kā ḳhazāna bhī nahīñ hogā
tasavvur kī hadoñ se duur jā kar kaise dekheñge
agar tum se ta.alluq ġhā.ebāna bhī nahīñ hogā
khulā dar chhoḌ aa.e the ki hijrat kā taqāza thā
vahāñ kyā lauT kar jaa.eñ Thikāna bhī nahīñ hogā
badalte mausamon mein aab-o-dana bhi nahin hoga
ki peDon par parindon ka Thikana bhi nahin hoga
baha le jaengi maujen kitab-e-zindagani ko
sunane ke liye koi fasana bhi nahin hoga
nawah-e-jaan mein ek din tum utar kar dekh bhi lena
tumhaare pas yaadon ka KHazana bhi nahin hoga
tasawwur ki hadon se dur ja kar kaise dekhenge
agar tum se talluq ghaebana bhi nahin hoga
khula dar chhoD aae the ki hijrat ka taqaza tha
wahan kya lauT kar jaen Thikana bhi nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.