badalte waqt ki raftar kya hai
badalte vaqt kī raftār kyā hai
mohabbat ab tirā kirdār kyā hai
zamīñ ko chhū rahā hai āsmāñ ab
talab kī raah meñ paikār kyā hai
kaTā kar sar bhī martā hī nahīñ vaqt
havā ke haath meñ talvār kyā hai
bhulā baiThā huuñ maiñ ḳhud ko bhī logo
mire kāñdhoñ pe ab ye baar kyā hai
azal se hai mirī fitrat meñ jhuknā
to phir sajdoñ se mujh ko aar kyā hai
anal-haq se abhī vāqif nahīñ maiñ
mujhe ma.alūm kab hai daar kyā hai
mujhe hai faḳhr maiñ ḳhākī huuñ merī
nazar meñ nuur kyā hai taar kyā hai
sabā se pūchhtā phirtā huuñ 'aiman'
vafā meñ phuul kyā hai ḳhaar kyā hai
badalte waqt ki raftar kya hai
mohabbat ab tera kirdar kya hai
zamin ko chhu raha hai aasman ab
talab ki rah mein paikar kya hai
kaTa kar sar bhi marta hi nahin waqt
hawa ke hath mein talwar kya hai
bhula baiTha hun main KHud ko bhi logo
mere kandhon pe ab ye bar kya hai
azal se hai meri fitrat mein jhukna
to phir sajdon se mujh ko aar kya hai
anal-haq se abhi waqif nahin main
mujhe malum kab hai dar kya hai
mujhe hai faKHr main KHaki hun meri
nazar mein nur kya hai tar kya hai
saba se puchhta phirta hun 'aiman'
wafa mein phul kya hai KHar kya hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 141)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.