badan charagh nahin hain mohabbaten apni
badan charāġh nahīñ haiñ mohabbateñ apnī
magar ye lau ko baḌhātī zarūrateñ apnī
tamām haq ke taraf-dār chāroñ ḳhāne chit
koī sañbhāl na paayā sadāqateñ apnī
badal na leñ kahīñ rasta ye aag kī lapTeñ
hameñ hī raakh na kar deñ ye nafrateñ apnī
ab us se rū-barū hone meñ kuchh nahīñ rakkhā
balā ke naqsh banātī haiñ vahshateñ apnī
sameT apne sitāroñ ko āsmāñ vaale
bujhā ke chhoḌ ga.iiñ jin ko hasrateñ apnī
kidhar se aatī hai jaane ye ḳhvāb-nāk sadā
to kam na hoñgī kabhī kyā masāfateñ apnī
badan charagh nahin hain mohabbaten apni
magar ye lau ko baDhati zaruraten apni
tamam haq ke taraf-dar chaaron KHane chit
koi sanbhaal na paya sadaqaten apni
badal na len kahin rasta ye aag ki lapTen
hamein hi rakh na kar den ye nafraten apni
ab us se ru-baru hone mein kuchh nahin rakkha
bala ke naqsh banati hain wahshaten apni
sameT apne sitaron ko aasman wale
bujha ke chhoD gain jin ko hasraten apni
kidhar se aati hai jaane ye KHwab-nak sada
to kam na hongi kabhi kya masafaten apni
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 83)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.