badan gulab sa mahke to aag lag jae
badan gulāb sā mahke to aag lag jaa.e
so tū kahīñ se bhī guzre to aag lag jaa.e
zamīn chup hai magar khaultī hai andar se
vo ek lafz bhī bole to aag lag jaa.e
'ajab mizāj kā ātish-parast huuñ maiñ bhī
koī jo aag ko puuje to aag lag jaa.e
maiñ jī rahā huuñ faqat us kī be-ruḳhī ke tufail
vo aañkh bhar ke jo dekhe to aag lag jaa.e
maiñ aise ruḳh pe huuñ sūraj ke sāmne ki agar
zarā sā zāviya badle to aag lag jaa.e
hamāre lafz haiñ māchis kī tīliyāñ 'maz.har'
koī dimāġh se ragḌe to aag lag jaa.e
badan gulab sa mahke to aag lag jae
so tu kahin se bhi guzre to aag lag jae
zamin chup hai magar khaulti hai andar se
wo ek lafz bhi bole to aag lag jae
'ajab mizaj ka aatish-parast hun main bhi
koi jo aag ko puje to aag lag jae
main ji raha hun faqat us ki be-ruKHi ke tufail
wo aankh bhar ke jo dekhe to aag lag jae
main aise ruKH pe hun suraj ke samne ki agar
zara sa zawiya badle to aag lag jae
hamare lafz hain machis ki tiliyan 'mazhar'
koi dimagh se ragDe to aag lag jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.