badan kaman nazar tir karne wala hai
badan kamān nazar tiir karne vaalā hai
vo mere ḳhvāb ko tā'bīr karne vaalā hai
sunā hai zo'm hai us ko kamāl-e-husn se vo
tasavvurāt ko zanjīr karne vaalā hai
vo ek shaḳhs maiñ jis se kabhī milā hī nahīñ
mirī jahān meñ tash.hīr karne vaalā hai
sahar kā phir se gumāñ hai milā ke mujh se nazar
mujhe phir aaj vo tasḳhīr karne vaalā hai
manāo jashn karo jā ke dushmanoñ ko ḳhabar
vo mujh ko hāsil-e-taqdīr karne vaalā hai
judā na hoñge jo is baar ham baham hoñge
na.ī kuchh aisī vo tadbīr karne vaalā hai
badan kaman nazar tir karne wala hai
wo mere KHwab ko ta'bir karne wala hai
suna hai zo'm hai us ko kamal-e-husn se wo
tasawwuraat ko zanjir karne wala hai
wo ek shaKHs main jis se kabhi mila hi nahin
meri jahan mein tashhir karne wala hai
sahar ka phir se guman hai mila ke mujh se nazar
mujhe phir aaj wo tasKHir karne wala hai
manao jashn karo ja ke dushmanon ko KHabar
wo mujh ko hasil-e-taqdir karne wala hai
juda na honge jo is bar hum baham honge
nai kuchh aisi wo tadbir karne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.