badan ke dasht ko aabaad kyon nahin karte
badan ke dasht ko aabaad kyon nahin karte
Ahmad Iftikhar khatak
MORE BYAhmad Iftikhar khatak
badan ke dasht ko ābād kyoñ nahīñ karte
havas bhī hai to kuchh ījād kyoñ nahīñ karte
har ik ḳhayāl ko bāñdhā huā hai lafzoñ se
na jaane tum unheñ āzād kyoñ nahīñ karte
jalāte kyoñ nahīñ is qabr par charāġh koī
mirā ḳhayāl mire baad kyoñ nahīñ karte
agar milā hai tumheñ dard to batāo hameñ
karāhte nahīñ fariyād kyoñ nahīñ karte
tamām log azal se haiñ gosh-bar-āvāz
ḳhamosh rahte ho irshād kyoñ nahīñ karte
ye jabr-e-nāravā apnī samajh se hai bāhar
jo yaad aa.e use yaad kyoñ nahīñ karte
burā hī kyā hai mohabbat meñ rāt-din 'ahmad'
sulag ke yaad kī imdād kyoñ nahīñ karte
badan ke dasht ko aabaad kyon nahin karte
hawas bhi hai to kuchh ijad kyon nahin karte
har ek KHayal ko bandha hua hai lafzon se
na jaane tum unhen aazad kyon nahin karte
jalate kyon nahin is qabr par charagh koi
mera KHayal mere baad kyon nahin karte
agar mila hai tumhein dard to batao hamein
karahte nahin fariyaad kyon nahin karte
tamam log azal se hain gosh-bar-awaz
KHamosh rahte ho irshad kyon nahin karte
ye jabr-e-narawa apni samajh se hai bahar
jo yaad aae use yaad kyon nahin karte
bura hi kya hai mohabbat mein raat-din 'ahmad'
sulag ke yaad ki imdad kyon nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.