badan ke dasht tak ek bar mujhko
badan ke dasht tak ik baar mujh ko
rasā.ī dījiye sarkār mujh ko
chalā ā.ūñgā dauḌā bhāgtā maiñ
pukāro to sahī ik baar mujh ko
kisī din le na baiThe jaan jānāñ
tire inkār kī takrār mujh ko
tumhāre bin bhalā lagtā nahīñ hai
koī mausam koī tehvār mujh ko
koī zanjīr pairoñ meñ paḌī hai
bulātā hai bahut ghar-bār mujh ko
ye tere jannatī bande ḳhudāyā
samajhte haiñ zalīl-o-ḳhvār mujh ko
badan ke dasht tak ek bar mujh ko
rasai dijiye sarkar mujh ko
chala aaunga dauDa bhagta main
pukaro to sahi ek bar mujh ko
kisi din le na baiThe jaan jaanan
tere inkar ki takrar mujh ko
tumhaare bin bhala lagta nahin hai
koi mausam koi tehwar mujh ko
koi zanjir pairon mein paDi hai
bulata hai bahut ghar-bar mujh ko
ye tere jannati bande KHudaya
samajhte hain zalil-o-KHwar mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.