badan ke gumbad-e-KHasta ko saf kya karta
badan ke gumbad-e-ḳhasta ko saaf kyā kartā
tire jahāñ meñ na.e inkishāf kyā kartā
adam ke ūñghte paanī meñ jab thī merī lahr
mire vajūd se maiñ iḳhtilāf kyā kartā
na koī shor thā is meñ na koī sannāTā
maiñ apne ruuh ke gūñge tavāf kyā kartā
ki ik davām ke tevar the murta.ish is par
safar kī gard se maiñ inhirāf kyā kartā
ka.ī yugoñ kī shafaq meñ taḌap chukā hai 'riyāz'
lahū ab apne junūñ ko muaaf kyā kartā
badan ke gumbad-e-KHasta ko saf kya karta
tere jahan mein nae inkishaf kya karta
adam ke unghte pani mein jab thi meri lahr
mere wajud se main iKHtilaf kya karta
na koi shor tha is mein na koi sannaTa
main apne ruh ke gunge tawaf kya karta
ki ek dawam ke tewar the murtaish is par
safar ki gard se main inhiraf kya karta
kai yugon ki shafaq mein taDap chuka hai 'riyaz'
lahu ab apne junun ko muaf kya karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.