badan ke khet ko ab sinchna hai
badan ke khet ko ab sīñchnā hai
jo boyā thā vo āḳhir kāTnā hai
tirī āvāz ko maiñ chhū rahī huuñ
tirā lahja mujhe ab dekhnā hai
maiñ ik mazdūr kī beTī huuñ pagle
mujhe ḳhvāboñ kā rasta roknā hai
mujhe chhup kar kahīñ ronā hai pahle
phir apnī maañ se hañsnā bolnā hai
mohabbat ke nirāle zā.iqe haiñ
isī patthar ko har pal chāTnā hai
maiñ vo chiḌiyā huuñ jis ko 'umr saarī
isī piñjre meñ uḌnā sīkhnā hai
maiñ ḳhud apnī rukāvaT huuñ 'samīna'
mujhe ḳhud rāsta bhī DhūñDhnā hai
badan ke khet ko ab sinchna hai
jo boya tha wo aaKHir kaTna hai
teri aawaz ko main chhu rahi hun
tera lahja mujhe ab dekhna hai
main ek mazdur ki beTi hun pagle
mujhe KHwabon ka rasta rokna hai
mujhe chhup kar kahin rona hai pahle
phir apni man se hansna bolna hai
mohabbat ke nirale zaiqe hain
isi patthar ko har pal chaTna hai
main wo chiDiya hun jis ko 'umr sari
isi pinjre mein uDna sikhna hai
main KHud apni rukawaT hun 'samina'
mujhe KHud rasta bhi DhunDhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.