badan ke mausam-e-barsat mein nahin aana
badan ke mausam-e-barsāt meñ nahīñ aanā
visāl karnā hai jazbāt meñ nahīñ aanā
muāmalāt-e-mohabbat huuñ maiñ ġhulām tirā
pe jān-e-man terī har baat meñ nahīñ aanā
ajiib ruuh kī shādī hai ek ruuh ke saath
kisī bhī jism ko bārāt meñ nahīñ aanā
ham aadhī raat ke ba.ad apne saath rahte haiñ
ḳhayāl rakhnā bahut raat meñ nahīñ aanā
badan ke mausam-e-barsat mein nahin aana
visal karna hai jazbaat mein nahin aana
muamalat-e-mohabbat hun main ghulam tera
pe jaan-e-man teri har baat mein nahin aana
ajib ruh ki shadi hai ek ruh ke sath
kisi bhi jism ko baraat mein nahin aana
hum aadhi raat ke baad apne sath rahte hain
KHayal rakhna bahut raat mein nahin aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.