badan ke pas KHushi ki asas ho kar bhi
badan ke paas ḳhushī kī asaas ho kar bhī
rakhā hai ġham se ta.alluq udaas ho kar bhī
zalīl jab se kiyā hai amiir logoñ ne
nahīñ vo māñgtā kuchh bhuuk pyaas ho kar bhī
na kām-kāj na roTī so chal paḌe paidal
qadam ruke hī kahāñ itnī yaas ho kar bhī
huī hai rang-e-mohabbat meñ titliyoñ kī numūd
badan ne dekh liyā bad-havās ho kar bhī
ġhurūr toḌā hai rāvan kā mere angad ne
hilā sake na jo pā ko pachās ho kar bhī
asar meñ saarā zamāna vabā ke hai lekin
girā na hausla ḳhauf-o-hirās ho kar bhī
kisī kī mast-nigāhī ne kar diyā be-ḳhud
lagāyā us ko gale nā-shanās ho kar bhī
yuuñ to guzarte hai achchhe bure hazāroñ ḳhayāl
milegā kyā tumheñ 'anvar' udaas ho kar bhī
badan ke pas KHushi ki asas ho kar bhi
rakha hai gham se talluq udas ho kar bhi
zalil jab se kiya hai amir logon ne
nahin wo mangta kuchh bhuk pyas ho kar bhi
na kaam-kaj na roTi so chal paDe paidal
qadam ruke hi kahan itni yas ho kar bhi
hui hai rang-e-mohabbat mein titliyon ki numud
badan ne dekh liya bad-hawas ho kar bhi
ghurur toDa hai rawan ka mere angad ne
hila sake na jo pa ko pachas ho kar bhi
asar mein sara zamana waba ke hai lekin
gira na hausla KHauf-o-hiras ho kar bhi
kisi ki mast-nigahi ne kar diya be-KHud
lagaya us ko gale na-shanas ho kar bhi
yun to guzarte hai achchhe bure hazaron KHayal
milega kya tumhein 'anwar' udas ho kar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.