badan ke rup ka ejaz ang ang thi wo
badan ke ruup kā e'jāz añg añg thī vo
mire liye to mirī ruuh kī tarañg thī vo
guloñ ke naam khulī piiTh par mirī likh kar
ḳhizāñ ke phailte lamhoñ se mahv-e-jañg thī vo
siyah ghaTāoñ se kirneñ tarāsh letī thī
mirī hayāt kī ik jāgtī umang thī vo
vo zaḳhm-ḳhurda-e-hālāt ḳhud rahī lekin
tamām nik.hat o naġhma tamām rañg thī vo
na jaane kitne the 'shāhīn' us ke matvāle
agarche shāḳh meñ uljhī huī patang thī vo
badan ke rup ka e'jaz ang ang thi wo
mere liye to meri ruh ki tarang thi wo
gulon ke nam khuli piTh par meri likh kar
KHizan ke phailte lamhon se mahw-e-jang thi wo
siyah ghaTaon se kirnen tarash leti thi
meri hayat ki ek jagti umang thi wo
wo zaKHm-KHurda-e-haalat KHud rahi lekin
tamam nikhat o naghma tamam rang thi wo
na jaane kitne the 'shahin' us ke matwale
agarche shaKH mein uljhi hui patang thi wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.