badan ke sare jazire shumar karte hue
badan ke saare jazīre shumār karte hue
maiñ thak gayā huuñ samundar ko paar karte hue
ham aise ahl-e-junūñ bazm-e-āgahī meñ hanūz
qusūr-e-be-ḳhabarī bār-bār karte hue
maiñ apnā 'aks ab āḳhir kahāñ talāsh karūñ
haiñ aa.ine mire chehre pe vaar karte hue
tirī talāsh meñ āḳhir ye din tamām huā
kaTegī raat tirā intizār karte hue
rafū-garī kā hunar siikh hī liyā ham ne
ḳhud apne dil kī ridā tār-tār karte hue
badan ke sare jazire shumar karte hue
main thak gaya hun samundar ko par karte hue
hum aise ahl-e-junun bazm-e-agahi mein hanuz
qusur-e-be-KHabari bar-bar karte hue
main apna 'aks ab aaKHir kahan talash karun
hain aaine mere chehre pe war karte hue
teri talash mein aaKHir ye din tamam hua
kaTegi raat tera intizar karte hue
rafu-gari ka hunar sikh hi liya hum ne
KHud apne dil ki rida tar-tar karte hue
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 34)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : सभी रंग तुम्हारे निकले (Pg. 32)
- Author : सालिम सलीम
- Publication : रेख़्ता पब्लिकेशंस (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.