badan ki qaid mein hai gham mujhe teri judai ka
badan kī qaid meñ hai ġham mujhe terī judā.ī kā
mire aaqā mujhe bhī ek mauqa de rihā.ī kā
idhar ye dukh alag kī ab talak lanka meñ haiñ siitā
udhar be-jān hotā jā rahā hai jism bhaa.ī kā
siyāsat ho ki duniyā ho vo aa jaatī hai ghuTnoñ par
nikal paḌtā hai jab kirdār koī raushnā.ī kā
hamārā yaar kal shab terī ik tasvīr le aaya
dikhāne lag gayā bīmār ko parcha davā.ī kā
mujhe to dekh kar aise kam az kam muskurā to mat
burā bhī maan saktā hai sanam chūḌā kalā.ī kā
kabhī ghanToñ paḌe rahte the maañ kī god meñ is par
chalo maañ naam rakhte haiñ ‘virāT’ is chārpā.ī kā
badan ki qaid mein hai gham mujhe teri judai ka
mere aaqa mujhe bhi ek mauqa de rihai ka
idhar ye dukh alag ki ab talak lanka mein hain sita
udhar be-jaan hota ja raha hai jism bhai ka
siyasat ho ki duniya ho wo aa jati hai ghuTnon par
nikal paDta hai jab kirdar koi raushnai ka
hamara yar kal shab teri ek taswir le aaya
dikhane lag gaya bimar ko parcha dawai ka
mujhe to dekh kar aise kam az kam muskura to mat
bura bhi man sakta hai sanam chuDa kalai ka
kabhi ghanTon paDe rahte the man ki god mein is par
chalo man nam rakhte hain ‘wiraT’ is chaarpai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.