badan ko apne mohabbat ki san par rakh de
badan ko apne mohabbat kī saan par rakh de
ye nam se lab mirī tishna zabān par rakh de
agar gurez hai tujh ko hisāb-e-laġhzish se
har ek tohmat-e-ġham āsmān par rakh de
isī ġhubār ke nīche zamīn ho shāyad
asaas apne yaqīñ kī gumān par rakh de
supurdagī tire ġham ko subuk banā degī
ye bojh bantā huā sar qurān par rakh de
ho ḳhuun garm to kuchh sochtā nahīñ insāñ
zarā ye dhuup 'zafar' sā.ebān par rakh de
badan ko apne mohabbat ki san par rakh de
ye nam se lab meri tishna zaban par rakh de
agar gurez hai tujh ko hisab-e-laghzish se
har ek tohmat-e-gham aasman par rakh de
isi ghubar ke niche zamin ho shayad
asas apne yaqin ki guman par rakh de
supurdagi tere gham ko subuk bana degi
ye bojh banta hua sar quran par rakh de
ho KHun garm to kuchh sochta nahin insan
zara ye dhup 'zafar' saeban par rakh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.