badan mein awwalin ehsas hai takanon ka
badan meñ avvalīñ ehsās hai takānoñ kā
rafīq chhūT gayā hai kahīñ uḌānoñ kā
hisār-e-ḳhvāb meñ āñkheñ panāh letī huī
'ajab ḳhumār sā māhaul meñ azānoñ kā
charāġh-e-sub.h sī bujhne lagīñ mirī āñkheñ
jab intishār na dekhā gayā gharānoñ kā
amaan kahte haiñ jis ko bas ik tasavvur hai
ki yuuñ Thahar sā gayā vaqt imtihānoñ kā
jo us ke hoñToñ kī jumbish meñ qaid thā 'ash.har'
vo ek lafz banā bojh mere shānoñ kā
badan mein awwalin ehsas hai takanon ka
rafiq chhuT gaya hai kahin uDanon ka
hisar-e-KHwab mein aankhen panah leti hui
'ajab KHumar sa mahaul mein azanon ka
charagh-e-subh si bujhne lagin meri aankhen
jab intishaar na dekha gaya gharanon ka
aman kahte hain jis ko bas ek tasawwur hai
ki yun Thahar sa gaya waqt imtihanon ka
jo us ke honTon ki jumbish mein qaid tha 'ashhar'
wo ek lafz bana bojh mere shanon ka
- Book : Rat jage (Pg. 73)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.