badan mein bawli wahshat kahan se aati hai
badan meñ bāvlī vahshat kahāñ se aatī hai
'ajīb tarh kī lazzat kahāñ se aatī hai
tum apnā dāman-e-shaffāf mat dikhāo hameñ
batāo gard-e-malāmat kahāñ se aatī hai
dil-o-dimāġh mo'attar tumhāre naam se haiñ
to phir ye bū-e-shikāyat kahāñ se aatī hai
koī batā.e bahisht-e-ḳhayāl-e-vasl meñ bhī
‘azāb-e-hijr kī sā'at kahāñ se aatī hai
ye kaun hai jo suḳhan-dar-suḳhan mahaktā hai
ye she'r-goī meñ nudrat kahāñ se aatī hai
badan mein bawli wahshat kahan se aati hai
'ajib tarh ki lazzat kahan se aati hai
tum apna daman-e-shaffaf mat dikhao hamein
batao gard-e-malamat kahan se aati hai
dil-o-dimagh mo'attar tumhaare nam se hain
to phir ye bu-e-shikayat kahan se aati hai
koi batae bahisht-e-KHayal-e-wasl mein bhi
‘azab-e-hijr ki sa'at kahan se aati hai
ye kaun hai jo suKHan-dar-suKHan mahakta hai
ye she'r-goi mein nudrat kahan se aati hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 56)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.